Uski kagaz ki chitthiyon ko
kar ek ek jala raha tha
Mujh na samajh ko itni khabar
tak na thi
K yaade to ab bhi uski mai
dil me chupa raha tha
Aaj baith tanhai me beeti
baate bhula raha tha…..
Kar palko me aansu band jo
mai muskura raha tha
Mujh na samajh ko itni khabar
tak na thi
K yaadon ko fanah mai uski
hone se bacha raha tha
Aaj baith tanhai me beeti
baate bhula raha tha…..
Ek naam raith par jo mai likh
kar mita raha tha
Mujh na samajh ko itni khabar
tak na thi
K apna hi khawab rait par pal
pal saja raha tha
Aaj baith tanhai me beeti
baate bhula raha tha